Romantic poetry | Barish the, hum thy aur ghani ho rehe the shaam | Amjad Islam Amjad Poetry | Presented By MBR

Barish The Hum Thy Aur,

Ghani Ho Rehe The Shaam.


Poet : Amjad Islam Amjad 



Edited By : Eman


Barish the, hum thy aur ghani ho rehe the shaam

Tum ny lia tha kanpty hountoon sy mera naam

Main ny kaha tha aao yun he bheegtey chalain

In rastoon main dair talak ghoomtay rahin

Mere kamar main hath ye, phoolon sa daal kar

Kandhe py mere rakhy raho yunhe apna sir

Hathon ko main kabhe, kabhe baalon ko chum lo

Daikho mere taraf tu main ankhon ko chum loun

Pani k ye jo phool hain rookh par khilay hovy

In main dhanak ke rang hain sary gholay hovy

Hont sy in ko chuntay rahen khush dilli ke sath

Taray humein talash kerein, chandani ke sath

Yunhe kisi darakht ke nechy kharay rahein

Barish k dair bad beh liptay kharay rahen

Tum nay kaha tha, aao chalein raat aagai

Dil jis se dar raha tha, wohe baat aagae

Beetay samey ke yaad he, raasto main rah na jae

Ye dil kahein wasal ke barish main beh na jae

Kuch deir aik chup se rehe darmiya main

Girhein se jesy parnay lagi hun zuban main

Yak'dum gira tha phool koi shakh'sar sy

Daikha tha tum nay mere taraf iztarar sy

Barish main bheegty hovy jhonky hava ky thy

Wo chand bay-gumaa say lamhy, bala ky thy

Nasha sa aik chaaron taraf phailta giya

Phir es ke baad main nay tumhein, kuch nahi kaha




For Videos Subscribe our YouTube channel.

Comments

Popular posts from this blog

Romantic poetry | Ye Halaki Se Barish Ka Barasna Qatil Tha | Muhammad Abbas Poetry | Presented By MBR

Mulakatein Urooj Par The Tu Jawab-E-Azaan Tak Na Diya. | Allama Iqbal Poetry | Presented By MBR

Kurbat beh nahi, dil say utar beh nahi jata | Ahmad Faraz Poetry | Urdu poetry | Presented by MBR