Posts

Showing posts from January, 2020

Gongi Ho Gai Ajj Kuch Zubaan Kehte Kehte | Allama Iqbal Poetry | Presented By MBR

Image
Gongi Ho Gai Ajj Kuch, Zubaan  Kehte Kehte. Poet :  Allama Iqbal Edited By : Eman Gongi ho gai ajj kuch zubaan kehte kehte Hich-kicha giya main khud ko muslman kehte kehte  Ye baat nahi ke mujh ko Rabb par yaqeen nahi Bas darr giya khud ko saheb-e-emaan kehte kehte Taufeeq na hoi mujh ko ek waqt namaz ki Aur chup hua mozzan azan kehte kehte Kisi kafir ny jo pocha ke ye kia hai mahina ? Sharam sy pani hath sy gir giya ramzan kehte kehte Meri almari main gard sy atti kitab ka jo pocha Main gaarh giya zameen main Quran kehte kehte Yeh sun k chup saadh le Iqbal oc ny Yun laga jesy ruk giya woh mujy haiwaan kehte kehte For Videos  Subscribe  our  YouTube channel.

Hasiyat Poetry | Apny Bary Main Sochta Hun Tu | Shahid Zaki Poetry | Presented By MBR

Image
Apny Bary Main,  Sochta Hun Tu.  Poet : Shahid Zaki Edited By : Eman Apny baray main sochta hun tu  Mujh ko aksar gumaan hota hai Mere  Mehboob ! Tere hathon main Meri haasti beh aik cigarette hai Jis ki  kismat Faqat sulagna hai Jis ko bas chand lamhoon ke leye Apny zaati sakoon ke khatir Tu laabon se laga ke rakhy ga Akhri kash lagae ga Aur phir Apny pao taly masal dy ga For Videos  Subscribe  our  YouTube channel.

Samsung Mobiles S10 Lite Vs Note10 Lite 2020 | Samsung New Mobile 2020 | All About S10 Lite & Note10 Lite

Image
Samsung Mobiles S10 Lite Vs Note10 Lite Edited By : Mr.Engineer About Samsung Samsung Electronic Co, South Korean multinational company hai jo 1969 main Lee Byung Chul nay banai. Tab sy ab tak ye apni buht sare behtareen products  launch kar chuky hain, aur  Samsung her saal apni product ko behtar se behtreen banany mein masroof hai , har company ki tarahan in ke khawahish hoti hai k wo apny customers ko baki company competitor se different aur new models k phone faraham kry.  CEO Of Samsung company Lee Byung Chul Born: 12 Feb, 1910, Died: 19 Nov, 1987  2019 S10 And Note 10 2019 main samsung ne apni 2 behtreen devices s10 aur note 10 release keye thy,  2019 main samsung ne s10 models k 4 variant release kiye thy , s10 ,s10e ,s10 5g aur s10 plus , aise he note series me b 4 variant note 10, note 10 5g,note10 plus aur note 10 plus 5g release kiye gy thy,  Samsung k in models mein customers au...

Mulakatein Urooj Par The Tu Jawab-E-Azaan Tak Na Diya. | Allama Iqbal Poetry | Presented By MBR

Image
Mulakatein Urooj Par The Tu,  Jawab-E-Azaan Tak Na Diya. Poet :  Allama Iqbal Edited By : Eman Mulakatein urooj par the tu jawab-e-azaan tak na diya Sanam jo rootha hai tu ajj muzan banay baithy hain Na kaalma yaad aata hai na dil lagta hai namazun main Kaafar bana diya hai logo ko doo din ki muhabbat nay Keetne ajeeb hai gunnahon ki justooju Namaz beh jaldi main parhtay hain, phir say gunnah kerny ke leye For Videos  Subscribe  our  YouTube channel.

Romantic poetry | Ye Halaki Se Barish Ka Barasna Qatil Tha | Muhammad Abbas Poetry | Presented By MBR

Image
Yeh Halki Se Barish Ka, Barasna Qatil Tha. Poet : Muhammad Abbas  Edited By : Eman Ye halaki se barish ka barasna qatil tha Tere honton py bondo ka tarasna qatil tha Ek taraf bheegy hovy tum, ek taraf gira hua jhonpra mera Waqt ka es moflis ko parakhna qatil tha Zulfon ki zid rukhsar py rehna, aur tum aadi sanwarne ke Wo tere hathon ka baalon sy ulajhna qatil tha Woh dheeray sy halki se hava ke darr se Es nazakat se tera simatna qatil tha Pehly be'ikhtiyar muskrana, phir humein daikh ke chup ho jana Apke honton ka wo sambhalna qatil tha Ye halaki se barish ka barasna qatil tha Tere honton py bondo ka tarasna qatil tha For Videos  Subscribe  our  YouTube channel.

Romantic poetry | Barish the, hum thy aur ghani ho rehe the shaam | Amjad Islam Amjad Poetry | Presented By MBR

Image
Barish The Hum Thy Aur, Ghani Ho Rehe The Shaam. Poet : Amjad Islam Amjad   Edited By : Eman Barish the, hum thy aur ghani ho rehe the shaam Tum ny lia tha kanpty hountoon sy mera naam Main ny kaha tha aao yun he bheegtey chalain In rastoon main dair talak ghoomtay rahin Mere kamar main hath ye, phoolon sa daal kar Kandhe py mere rakhy raho yunhe apna sir Hathon ko main kabhe, kabhe baalon ko chum lo Daikho mere taraf tu main ankhon ko chum loun Pani k ye jo phool hain rookh par khilay hovy In main dhanak ke rang hain sary gholay hovy Hont sy in ko chuntay rahen khush dilli ke sath Taray humein talash kerein, chandani ke sath Yunhe kisi darakht ke nechy kharay rahein Barish k dair bad beh liptay kharay rahen Tum nay kaha tha, aao chalein raat aagai Dil jis se dar raha tha, wohe baat aagae Beetay samey ke yaad he, raasto main rah na jae Ye dil kahein wasal ke barish main beh na jae ...

Barish Poetry | Bhige Ankhein Poetry | Aaj Phir Mujh Ko Oc Ke Yaad Dila De Barish Ny | Presented By MBR

Image
Aaj Phir Mujh Ko Oc Ke,  Yaad Dila De Barish Ny. Poet :  Unknown Edited By : Eman Aaj phir mujh ko oc ke yaad dila de barish ny Dil main jo bhool ke aag the bhuja de barish ny Main tanha the apny ghar main zamaane sy Magar, mere ghar ke deewar gira de barish ny Oc ky zikar sy ho gai mere ankhein naam Magar, yeh sari baat chupa de barish ny  Sunna hai woh beh roya hai ajj buht Lagta hai un ko beh mere yaad dila de barish ny Wo bewafa hovy tu phir kia hua? Ajj mere sath roo kar wafa nibah de barish ny For Videos  Subscribe  our  YouTube channel.

Barish Poetry | Rain Poetry | Yeh Baarishein Beh Tum Se Hain | Presented By MBR

Image
Yeh Barishein Beh,  Tum Se Hain. Poet : Unknown Edited By : Eman Ye baarishein beh tum se hain Jo baras gai tu bahar hain Jo thehar gayi tu qaraar hain Kabhe aagae yunhe be'sabab Kabhi chaa gayi yun he rooz-o-shaab Kabhi shor hai kabhe chup se hain Yeh baarishein beh tum se hain Kisi raat main  kisi yaad ko Ek dabi hoi se raakh ko  Kabhi yun hua ke bhuja dia Kabhi khud sy khud ko jala dia Kabhi bond bond main gum se hain Ye baarishein beh tum se hain For Videos  Subscribe  our  YouTube channel.

Sambhala Hosh Hai Jab Se Muqaddar Sakht'tar Nikla | Ahmad Faraz Poetry | Presented By MBR

Image
Sambhala Hosh Hai Jab Se,  Muqaddar Sakht'tar Nikla. Poet :  Ahmad Faraz Edited By : Eman Sambhala hosh hai jab se muqaddar sakht'tar nikla Para hai waasta jis se wohi teer-o-tabar nikla Sabaq daita raha jo umer bhar roshan khayali ka Usey jab pas se daikha to khud bhi tang nazar nikla Samajh kar zindagi jis se muhabbat kar rahey thy hum  Usey jab chhoo k daikha tu faqat khaki bashar nikla  Mohabat ka khumaar utra tu tab saabit hua   Jisey manzil samajhte thy wo be'maqsad safar nikla For Videos  Subscribe  our  YouTube channel.

Khuda Hum Ko Aise Khudai Na Dy | Bashir Badar Poetry | Presented By MBR

Image
Khuda Hum Ko Aise, Khudai Na Dy. Poet :  Bashir Badar Edited By : Eman Khuda hum ko aise khudai na dy Ke apny sava kuch dekhai na dy Khatawar samjhay ge dunia tujhy Ab etne zada safai na dy Hanso ajj etna ke es shor main Sada seckyon ke sunai na dy Khuda aisy e hsas ka naam hai Rahy samnay aur dekhai na dy For Videos  Subscribe  our  YouTube channel.

Manga Khuda Sy Raat Din Tere Sawa Kuch Beh Nahi | Bashir Badar Poetry | Presented By MBR

Image
Manga Khuda Sy Raat Din,  Tere Sawa Kuch Beh Nahi. Poet :  Bashir Badar Edited By : Eman Socha nahi acha bura , daikha suna kuch beh nahi Manga khuda sy raat din tere sava kuch beh nahi Socha tujhe , daikha tujhe, chaha tujhe, poja tujhe Mere khata mere wafa, tere khata kuch beh nahi Jis par humari ankh nay mooti bichae   raat bhar Bhaija wohe kagaz ocy, hum nay likha kuch beh nahi Ek sham ke dahleez par baithy rahy wo dair tak, Aankhon se ke batein buht, mu sy kaha kuch beh nahi Do char din ke baat hai dil khaak main so jae ga Jab aag par kagaz rakha, baki bacha kuch beh nahi For Videos  Subscribe  our  YouTube channel.

Kabhe Paa ke Tujh Ko Khona Kabhe Kho ke Tujh Ko Pana | Bashir Badar Poetry | Poetry By MBR

Image
Kabhe Paa ke Tujh Ko Khona, Kabhe Kho ke Tujh Ko Pana. Poet :  Bashir Badar Edited By : Eman Ye charag bay-nazar hai, ye sitara bay-zuban hai Abhe tujh se milta julta koi docra kahan hai Wohe shaks jis py apny dil-o-jan nisar ker dun Wo agar khafa nahi hai, tu zaror bad'guma hai Marey sath chalny walay tujhy kia mila safar main Wohe dukh bhari zameen hai wohe gham ka asman hai Kabhe paa ke tujh ko khona kabhe kho ke tujh ko pana Ye ja'nam ja'nam ka rishta tarey mere darmiya hai Inhe raaston ny jin par kabhe tum thy sath mere Mujy rok rok pocha, tera hum safar kahan hai? For Videos  Subscribe  our  YouTube channel.